Friday 16 September 2011

Hindi Transalation of Ashok Bahirwani’s updates 15-09-2011

Good Evening Speakasians,
Wah!, Speakasians ke iss abhimaani paarivaar par mere ashcharya ki koi seema nahi hai.Har din mera parichay hota hai iss parivar ki pratirodhkshamata par, panelists ki ekjutata aur company ke liye poorna ekta par,jo mere astitva ke 51 saalon mein maine kahin nahi dekha.
Ek chota sa udharan hai , Bangalore se prapt hua ek mail ,aur main kathit karta hoon,’ Speakasia mein shaamil hone se pehle mera jeevan kathinayion se bhara tha aur meri charon aurr bhagdaud machi rehati thi apna guzaara karne ke liye.. Mere parivaar ki samrudhhi teen baar bhojan karne mein thi. Lekin aaj mere bank mein shesh raashi kariban 18,00,000/- hai aur main isse AISPA ko daan karna chahta hoon. Mujhe aadesh dein kaise yeh daan doon.’
Maine jawaab diya, “bas bhai rulaaye ga kya”. Maine uske udaar prastaav ko asweekrut kar diya aur usse salaah di ki, haalanki uske prastaav ki bakhubhi sarahana ki gayi hai, uske gujare huye pichle dino ki yaad dilate huye maine use salaah di ki usse apne paise savdhaani se rakhane chahiye aur apne chhote bachhe ke bhavishya ke liye nivesh karna chahiye.
Association ne apni sthapana ke baad pehli baar arthik madad ke liye kuch panelists se ek namra anurodh kiya hai aur uski pratikriya ne mujhe ashcharya chakit kiya. Sabhi jagahon se madad karne ke liye phone calls ki jaise baadh si aa gayi. Mujhe ascharya hua Speakasians ke vishwas aur udaarata par jinhe pichle 4 mahino mein ek bhi paise praprt nahi hua hai.
Association ne 2 pramukh prastaavon ke liye dhan ke liye vinanti ki thi yaani :( a)AISPA website ke vikaas ke liye aur (b) aagami jan sampark anushthan. Har ek yogdaan ko stamped raseed di jayegi aur khaaton ka poora bayaan, har timaahi mein aispa.co.in website par zaari kiya jayega.
Haal hi mein shuru kiye gaye baahar nikalne ke vikalp se panelists ke beech kayi prashna uthaye gaye hain. Aaj main unke sawaalon ka jawaab dene ka prayaas karta hoon.
Prashna :Kab hamein bhugtaan prapt hoga agar hum baahar nikalne ka aavedan karein? Uttar: Company ka kehna hai ki ve is charan mein hain jisme woh un panelists ki jaankari (data) ekatrit kar rahe hai jo baahar nikalne ke vikalp ko chunane mein ruchi rakhte hain. Company RBI se anumati mangegi, ek saath sthanantaran prabhavit karne ke liye.company ne aage spasth kiya hai ki ve naamankit adaalaton ya anya saksham adhikari ke paas, aage savitaran ke liye , paise jama karne ke vikalp par vichaar kar rahein hain. Yahan company ke sankalp ko doharate hai ki ve sunischit sabhi panelists ke bhugtaan ko sarvochh prathamikata par karna chahte hain.
Prashna: Maine baahar nikalne ka aavedan bhar diya hai. Mujhe koi bhi pushtikaran Email nahi mila hai. Uttar: Hum sabhi jaante hain ki company ka mool website, www.speakasiaonline.com jis par poore Speakasia Panelists ki jaankari hai, EOW ke hiraasat mein hai aur unke dwara jaanch ki jaa rahi hai. Jaise hi website Company ko saunp di jaayega, company ke adhikari baahar nikalne ke aavedan ko jaanchenge aur jaanch pramaanit hone ke baad panelists ko Email bheja jaayega.
Prashna: Panelist ne company ki gatividhion mein bhaag liya hai aur RP sadasyataa ki laagat se adhik arjit hain lekin bhugtaan koi bhi RP ka nahi kiya gaya hai. Yadi main ab baahar nikalna chahata hoon, kya mujhe mere poore sadasyata ki laagat waapas milegi? Uttar: haan, use poori laagat ki wapaasi milegi. Laagat ki waapasi vibhinn jebon mein sesh bache RP par nirbhar nahi hai. Waapasi ki niti kafi spashth hai. Waapasi nimnalikhit tarike se ki jaayegi:- Sadasyata ki kul laagat= Rs. 10000 (yaad rakhiye Rs. 1000 Panjikaran laagat hai) –kam kul raashi arjit aur bhugtaan ki.
Prashna:Baahar nikalne ke vikalp mein sabhi kshetra bharane ke baad maine neeche ki pankthi “Jaari rakhen” dabaya. Aage koi nirantarata nahin.Svikruti mail nahin prapt hua. Meri jaankari ke anusaar jaise hi baahar nikalne ke aavedan prushth ke neeche,aap jaari rakhen ke button ko dabate hain,aapko ek pushtikaran sandesh turant milta hai ki aapka aavedan prapt hua hai. Hamein sarhaana karni chahiye ki website ab bhi EOW ke paas hai, company ke adhikari koi bhi jaankari ko satyapith karne mein asamarth hain aur ve ab sirf jaankari ekatrit kar rahen hain. Mujhe yakeen hai , ki website company ko saunp di jaane par ve vivaran ki pushti karenge. Prusth ke anth mein “Jaari rakhen “ button ko “Prastut Karein” mein sanshodhit kiya jaa sakta hai.
Main sabhi panelists ko yaad dilana chahoonga ke company, gambhirta se apna karya samanya karne ke liyesabhi sambhav raaston ka jaanch kar rahi hai aur sunischit kar rahi hai ki panelists ka bhugtaan bina koi vilambh ke , turant diya jaaye.
Panelists ko yaad rakhna chahiye ke Speakasia ke iss vyapaar pranali se kai logon ka jeevan parivartit hua hai aur saikadon panelists ka jeevan sthar badal chukka hai.
“Sarkari madad” vyapar ke liye, “Sarkari uthpeedan “ke roop mein vinashkari hai…………..ek hi tarikaa hai sarkar ke paas, rashtriya samrudhhi ke liye seva karne ki aur woh hai apne haath dur rakhein……… Ayn Rand, Lekhika.
Ashok Bahirwani
Sachiv
AISPA

No comments:

Post a Comment